Apni Bhasa me likhne ka Widget Website ke Liye Hindi Me Sikhe
Ye to aap jaante hi hoge ki duniya bhar me bhut si bhasaye boli or likhe jaati hai. par agar ham Mobile Laptop par likhte hai to sabse aasan English me hota hai q ki uske saare sabj Keybord par dikhte hai. issi topic par mene phele ek tool share liye tha Type Hindi in English, usme ham English me type karke hindi type kar sakte the.

Aaj ussi ka latest version me aap logo se share kar raha hu. Iski khas baat yaha hai ki ye or bhi bhasa ko support karta hai likhne me.
Aap in Bhasa me likh sakte ho
Amharic, Arabic, Bengali, Chinese, Greek, Gujarati, Hindi, Kannada, Malayalam, Marathi, Nepali, Oriya, Persian, Punjabi, Russian, Sanskrit, Serbian, Sinhalese, Tamil, Telugu, Tigrinya, Urdu
Apni Bhasa me Likhe
Is Tool ka aap is page par to istmaal kar hi sakte hai par agar aap isko apni website par jodna chate hai to aap niche diye code ko copy karke apni website par dale.
Is code ko copy kare
Agar aap WordPress par add karna chate hai to aap Text Widget me iss code ko save kare or agar aap blogger par jodna chate hai to HTML/Javascript widget me add kare.
Is tool ko apne blog par lagane ka sabse bada ye faida hai ki aapke blog par agar koi apni bhasa me likh kar comment karna chata hai to bo is tool ki madad se likh sakta hai.
Appko ye tool kesa laga, or agar aapko apni website ya blog par jodne me kuch bhi paresani aati hai to aap muje bataiye. Agar aapke kuch sujaab hai is tool ke liye to aap bo hame jarur bataye.
Post a Comment