Header Ads

Twitter Kya Hai ? Aur Twitter Par Account Kaise Bnate Hai ?

Aaj ka jo time hai bo internet ka time hai. Aaj hamari jindgi me Internet bada mahatv rakhta hai, uski madad se ham puri duniya se connected rha sakte hai. jaise Online Shoping karna, Mobile ko net se recharge karna, ya fir kisi exam ka result dekhna aese bhut se kaam aasani se ho jate hai. Abhi ke time me jo sabse jada Popular hai to bo hai Social Networking Sites jese Facebook, Google+, Twitter jinki madad se ham Apne Dosto or apne chahane walo se jude rha sakte hai.

Aaj ham jaanege kaise Twitter par account banate hai.

Twitter Kya Hai ?


Ye ek online social networking site hai jisme ham 140 sabdo me message ko share kar sakte hai, usko “tweets” khate hai. Jiska ispar par account hai bo tweets kar bhi sakta hai or dusro ki tweets pad bhi sakta hai par jiska account nahi hai bo sirf dusro ki tweets pad sakta hai.

Twitter par account kaise banaye


In steps ko follow kare
Step 1

www.twitter.com par jaye fir sign up ki button par click kare, ya fir yaha click kare
Step 2

ab jo sign up form aa jayega uske bhare


  1. Apna Pura Naam Likhe

  2. Yaha par aap Apna Mobile Number ya fir Email ID daal sakte ho.

  3. account ke liye password dale.

  4. apne liye Username dale. har account ka ek alag username hota hai

  5. Sign up ki button par click kare

Username select karne ki tip

  • Aapka username  bo naam hota hai jo aapke follower message, @replie, Aapko post me add karne ya fir firect message karne me kaam aata hai.

  • user name aapki twitter profile ka URL bhi hota hai. jese HindiTek ka twitter username hai @HindiMeHelp or Profile ka URL hai https://twitter.com/HindiTek

  • aap apne username ko baadme kabhi bhi change kar sakte hai par aap jo bhi naya username select karege bo phele se kisi ka nahi hona chaiye.

  • Jo username hai bo 15 sabdo se kam hona chaiye or username me “admin” or “Twitter” sabd nahi hona chaiye.

Step 3

Ab aapke mobile par ek sms aayega twitter se agar aapne mobile number dala hai to. usme ek verification code hoga.Image result for Twitter Kya hai or Twitter Par Account Kaise Banaye

Code ko daalne ke baad Verify ki button par click kare.

Ab aap ka Twitter account Ban gaya hai.
Step 4


ab agle page me aapse Email ID magega agar aapne Mobile se account ko register kiya hai. aap yaha par apni email is daal de.

ya fir skip par click karke agli step par jaye. ham chahe to baad me bhi email is account me connect kar sakte hai.

kuch bate Email address ko twitter account me jodte samay yaad rakhni hai

  • ek email address sirf ek twitter account me use kar sakte hai.

  • email ko account me daalne ke baad is baat ka diyaan rakhe ki aap email ko conform jarur kare. aapke email par ek verify mail aaya hoga.

Step 5

Aap ka account to ban gaya hai ab aapke saamje kuch catory or famous logo ki ID aayegi. aap unko follow kar sakte hai.Image result for Twitter Kya hai or Twitter Par Account Kaise Banaye
Step 6


  1. Twitter ki ID par apni Photo upload kare

  2. Continue ki button par click kare

Step 7

Ab aap account teyaar hai. Ab Search Box me search kare fir hamare account ko follow kare. jisse ham jab koi koi new post dale to aapko apne account par uski jaankari mil jaye.

To Ab aap jaan chuke hai kaise account banate hai, Agar aapko koi dikkat aa rahi hai ya fir aapka koi sabal hai to aap Comment karke puch sakte hai.

Twitter pe 140 character se lambe tweets kase kare or kaise Apni Information Update kare uski jaankari.

No comments

Powered by Blogger.